Thursday 24 August 2017

bohot kaha tha aap se

bohot kaha tha aap se
zara sa rehem khaiye
hamain na chorr jaiye
yeh dasht dasht rahguzar
yeh khwaab khwaab zindgi
k aap k bina safar
saraab hai, azaab hai
bara hi dardnaak hai
k jhonka e khyaal bhi
milay kabhi jo raah main
to puchta hai apka
usay main kya jawab don?
gunah don? sawab don?
main kon sa hisaab don?
bohot kaha tha aap se
k aap k bina hamain
yeh zindgi sataye gi
hamain na raas aye gi
to ho gaye na aap gum
so kar gaye na aankh num
bohot kaha tha aap se
zara sa rehm khaiye
hamain na chorr jaiye
magar kisay sunayen ab
jo hadsha e judayi tha
jo dard e be hisaab tha
wohi diya na aap ne
wohi kiya na aap ne
bohot kaha tha aap se

No comments:

Post a Comment