Showing posts with label Zain Shakeel. Show all posts
Showing posts with label Zain Shakeel. Show all posts

Monday, 11 September 2017

jazba e ishq hai be jaan nahi ho sakta

sad ghazals heart touching sad poetry urdu sad ghazal sms urdu ghazals poetry in urdu love sad poetry in urdu 2 lines sad poetry in urdu about love sad ghazal mp3 free download
jazba e ishq hai be jaan nahi ho sakta
ab main har baat pe heraan nahi ho sakta

youn muje chorr k har roz chalay jatay ho
jese mera koi nuqsan nahi ho sakta

aik muddat se koi khwaab nahi aya hai
aankh jitna koi veeran nahi ho sakta

hai tere zikr se dunia meri ujli ujli
ab main raahon se pareshan nahi ho sakta

aik hi shakhs rag e jaan main samaya hua hai
har koi shakhs meri jaan nahi ho sakta

meri yaadon main wo taa dair tarapne wala
mere zakhmon se to anjaan nahi ho sakta

Thursday, 7 September 2017

hum hi ho jayen tere sheher

hum hi ho jayen tere sheher dar badar kiyun kar
jab dilasa hi nahi hai to koi dar kiu kar

aor kya sheher main tanha koi rehta hi nahi
zain aati hai udaasi yeh mere ghar kiu kar
tere shehar k log poetry tere shahar mein shayari mera shehar shayari tera shehr poetry sahar shayari sehar shayari shohar biwi shayari two lines poetry of mohsin naqvi

Friday, 1 September 2017

mere paas aa mere hamnawa abi eid hai

happy eid shayari eid shayari in urdu hindi eid mubarak messages funny eid sms eid sad shayari funny eid shayari eid shayari for lovers eid mubarak shayari photos hot
mere paas aa mere hamnawa abi eid hai
tu galay to mil zara muskura abi eid hai

yeh jo dil hai naa yahan ranjishon k jaga na de
isay saaf rakh mere dostaa abi eid hai

tu jo phool hai kisi bagh ka so mehek zara
tu ghamon ki dhoop ko bhool ja abi eid hai

yeh jo eid hai yeh vasaal rutt ki naveed hai
usay dard e hijr main mat ganwa abi eid hai

yeh jo zain gham ki bharaas hai kisay raas hai
sabhi dard bhool k muskura abi eid hai

Thursday, 31 August 2017

bikhri hain mere ghar main wo be rung chooriyan

chooriyan poetry sms chooriyan quotes kanch ki chooriyan poetry tere hathon ki chooriyan poetry teri chooriyan poetry chooriyan ghazalchooriyan poetry picchudiyan shayari 2 lines
bikhri hain mere ghar main wo be rung chooriyan
karti hain mere sath sada jung chooriyan

barson se mere kaan main khann khann hai aj bhi
karti hain kitna shor wo be dhung chooriyan

sooni kalaiyan bhi nishaani hain soag ki
har soo khushi thi jab theen tere sung chooriyan

tu ne kisi k naam k kangan pehen liye
karti rahen gi tujh ko sada tung chooriyan

jatay huye wo maiz pe kyun zain dhar gaya
yeh sochti hain ab bhi mere sung chooriyan 

ye to logon ne yunhi baat banayi hui hai

judai sms in urdu for girlfriend judai poetry two line judai poetry ghazal judai sad poetry images judai poetry images dard e judai sms in urdu judai poetry on facebook dard e judai shayari urdu
ye to logon ne yunhi baat banayi hui hai
kon kehta hai teri muj se judayi hui hai

main to ankhon ko bhi parhne ka hunar janta hon
tu ne ik baat kahin muj se chupayi hui hai

loag atay hain mere ghar ki ziyarat k liye
main ne tasveer teri ghar main lagayi hui hai

yeh jo gham hai naa tere hijr ka bikhra hua gham
main ne is gham se paray kutya basayi hui hai

ab jo har baat hawaon ne batayi hai tuje
main ne har baat hawaon ko sunayi hui hai

main akela to nahi tera tassawur hai yahan
aor kamray main udaasi bhi bulayi hui hai

hum kahan biktay thay in waqt k shahon ko kabhi
teri hasrat hamain bazaar main layi hui hai

Wednesday, 30 August 2017

dekho hum ne chaand sitara likha hai

urdu nazm in hindi romantic nazm in hindi urdu nazm in urdu sad nazam in hindi best nazam in urdu urdu nazam of allama iqbal nazm in hindi font nazam urdu poetry
Best Ghazals and Nazms: Urdu poetry in Roman English Nazam Poetry Blog Hindi Urdu Nazam by Best Poets Find Nazam Sad Urdu Shayari Sad Love Ghazals Sher poems in Hindi Urdu Poetry
Zindagi Shayari & Ghazals in Urdu & Hindi Popular Poems on Life Poetry One All in One Best Poetry in Urdu Hindi English World Dard Bhari Shayari Dard Poetry Painful Poetry Poems
Poetry Shayari Poems & Ghazals Love & Sad Poetry Sahir Ludhianvi Poetry Urdu Shayari Love & Sad Ghazals 
dekho hum ne chaand sitara likha hai
lekin tum ko sab se pyara likha hai

meri jan lene ko loag ajatay hain
jab bhi tum ko jaan se pyara likha hai

dooba hai jo aik munafa, tu hi tha!
khud ko tere baad khasara likha hai

tum to mujh se aadha milne aye thay
main ne phir bhi tum ko sara likha hai

khat main bhi hum aor bhala ab kya likhtay
hum ne khud ko sirf tumhara likha hai

jis k dum se zain udaasi qayem hai
main ne us ko aik sahara likha hai

saray mosam hain yahan ab to sazaon walay

urdu nazm in hindi romantic nazm in hindi urdu nazm in urdu sad nazam in hindi best nazam in urdu urdu nazam of allama iqbal nazm in hindi font nazam urdu poetry
saray mosam hain yahan ab to sazaon walay
janay kis des gaye loag duaon walay

janay tum kis liye maghroor huye phirtay ho
tum ne dekhay hi nahi loag adaon walay

abr bhi ho k gurezan hi guzar jata hai
paidd bhi jal gaye sheher k chaon walay

kon ab dard ki jalti hui luu rokay ga
saray anchal hi dureeda hain hawaon walay

ho sakti nahi jiski koi baat alehda

urdu poetry love romantic urdu poetry urdu poetry sms urdu poetry sad urdu poetry ahmed faraz urdu poetry facebook urdu poetry images urdu ghazals
ho sakti nahi jiski koi baat alehda
us shakhs se ab kese karen zaat alehda

tum hum se to hum tum se karen koi gila kiu?
pehle to hua kartay thay halaat alehda

har shakhs ko har baat batata hai wo lekin
karta hi nahi mujh se koi baat alehda

aa therti hai dil main udaasi ki koi rutt
ankhon main lagi rehti hai barsaat alehda

tum bhi to nhi krtay rahay hijr ka maatam
kya tum ne guzaari hai koi raat alehda

wo shakhs zamanay main kahi khoya hua hai
hai jis ki zamanay se har ik baat alehda

acha nahi lagta usay tanhayi main rehna
ab kese karen us se mulaqaat alehda

Monday, 28 August 2017

udasi bain karti hai

udasi bain karti hai
mujhe tum yaad atay ho

wo aksar muj se kehti thi
mujhe tum yaad atay ho

ye nainan roz rotay hain
mujhe tum yaad atay ho

tumhain wapis bulatay hain
mujhe tum yaad atay ho

mere tum paas ho kar bhi
mujhe tum yaad atay ho

bari bojhal tabiyat hai
mujhe tum yaad atay ho

judayi jaan leti hai
mujhe tum yaad atay ho

muje hansna nahi ata
mujhe tum yaad atay ho

meri har saans kehti hai
mujhe tum yaad atay ho

mujay itna satatay ho
mujhe tum yaad atay ho

mujhe kitna rulatay ho
mujhe tum yaad atay ho

deed muhabbat toor muhabbat

deed muhabbat, toor muhabbat
husn, tajjali, noor muhabbat

haar yehi singhaar yehi hai
maang ka hai sindoor muhabbat

hum ne to har soo dekhi hai
paas muhabbat, door muhabbat

naaz usay har aik ada per
kitni hai maghroor muhabbat

kis ne rakha paas wafa ka
sirf hui mash'hoor muhabbat

beet chali hain kitni sadiyan
ab tak hai mehjoor muhabbat

vird, wazeefa, shaam savere
dafa muhabbbat, door muhabbat

zain bicharna kab mumkin tha
aan hui majboor muhabbat

yaad k saray dareechay bheegtay hain

yaad k saray dareechay bheegtay hain
be basi kurlaa rahi hai
raaston per phelti jati udaasi bain krti aor
bari badoom c awaaz main kurla rahi hai
be basi khud be hissi k geet gati jaa rahi hai
khirkiyon per dhool barish k kayi qatron ko khud main phr samaye jam gayi hai
aor sheeshon per bana har aks deta hai sadayen
ghar ki be tarteebiyan sari tumhain wapis bulaye ja rahi hain
aor is per almiya yeh hai k mujh ko
chaye wo bhi aik hi cup
khud banana par rahi hai

dekh le gi hawa tera lehja

dekh le gi hawa tera lehja
kis qadar ha thaka tera lehja

main e is main tuje utaara ha
tu ne dekha nahi mera lehja

sari awaaz jal gayi lekin
bach gaya tha harra bhara lehja

us ka lehja kamaal lehja hai
khoobsurat ghazal saraa lehja

kitne khamosh thay wo tere lab
kitna manoos tha tera lehja

lene aya tha muj se jo baten
le gaya cheen kr mera lehja

zain wo soonp kr gaya mujh ko
is qadar zeher se bhara lehja

sun pagal bechain si larki

sun pagal bechain si larki
yeh jo ankhen hoti hain na
aksar dhoka de jati hain
aksar dhoka khaa jati hain
jism to matti hota hai na
jism ko matti ho jana hai
to phr is ki chahat kesi
phr jismon ki haajat kesi
sun koyal ki meethi meethi
pyari boli jesi larki
meethay bol suna lena tum
rooh se rooh mila lena tum
vaar karay jb tanhayi to
mujh ko paas bula lena tum
mere ghar k angan main ik
tanha pairr pe anay walay
meethay phal k jesi larki
main us pairr k neechay betha
phr se tum ko soch raha hon
aaj mujhe tum yaad ayi ho

zindagi ho gayi hai khafa in dino

zindagi ho gayi hai khafa in dino
koi rehne laga hai juda in dino

kaat khanay ko dorray hai yeh khamshi
koi deta nahi hai sada in dino

mustaqil ban gayi soch herat kada
kar raha hai wafa, bewafa in dino

dard saray muje raas anay lagain
de raha hai koi yeh dua in dino

dhoondne lag gya hon main khud ko kaheen
mujh ko milta nahi raasta in dino

aik jhonka teri yaad ka bhool kar
dene aya muje aasra in dino

aaj saray sheher ko khabar ho gayi
zain mera nahi wo raha in dino

aksar Aesa ho jata hai

aksar Aesa ho jata hai
aansu raah bhatak jatay hain
ankhen banjar ho jati hain
sapnay murda ho jatay hain
neendain matam kr leti hain
aksar aisa ho jata hai
bhooli bisri yaden aa kar
dil main dard jaga deti hain
rooh ko zakhm laga deti hain
bechaini k is aalam main
sari raat guzar jati hai
ankhen surkh raha karti hain
sar main dard raha karta hai
aksar aisa ho jata hai

teri nigah main kiu abr aa theherta hai

teri nigah main kiyun abr aa theherta hai
ye kis k haath pe rung e hina theherta hai

main jis k vastay har ehtamaam karta hon
wo shakhs mujh se bari door ja theherta hai

yeh paidd jhuk k usay dekhtay hi rehtay hain
jab in ki chaon main wo dilruba theherta hai

yeh loag sheher k jhuk jhuk k muj se miltay hain
wo shakhs jab bhi mere paas aa theherta hai

rakh le hamara maan

ae darda 
sun pagal darda
nain mere matt chairr
ye royen zaar o zaar

sun darda
mere ghayel darda
rooh se galay a mil
maan junoon ki baat

aa darda 
tere baal sanwaron 
jeevan bhi don vaar
karon main itna pyaar

chal darda 
chal yahan se chal
yahan chehron per soo bhais
be dardon ka dais

chal darda
chal wahan chalain
jahan gehri raat c zulf
chanda jese mukh

chal darda 
chal wahan chalen 
jahan nainan payen sukh
banton tera dukh

ae darda
mere achay darda
rakh le hamara maan 
baat hamari maan

ik teri yaad ko bas rakht e safar jaana hai

ik teri yaad ko bas rakht e safar jaana hai
hum ne pathar ko bahar torr gohar jana hai

jis tarah kat'ti gayi raat bhi khamoshi se
is tarah hum ne kisi shaam guzar jana hai

chaand ko hum ne batana hai tere baray main
aaj to hum ne barri derr se ghar jana hai

zain us ko to ujaara tha kayi sadiyon ne
aik lamhay main kahan us ne sanwar jana hai

aor phir mere siva kon sahay ga us ko
aor phr us k siva main ne kidhar jana hai

zain maala sa hamain us ne piroo rakha hai
hum ne chup chaap kisi roz bikhar jana hai

hai muhabbat mujhe parindon se

tere pehlu main shaam karta hon
raat ka ehtamaam karta hon

manta hon main hijr ko murshad
hijr ka ehtaram karta hon

ik tujay yaad phr teri baten
bas yehi aik kaam karta hon

morr k pankh hain kitabon main
husn ka ehtaram karta hon

yaar badlay huye hain so main bhi
door se hi salam karta hon

lafz honton pe aa nahi saktay
jab bhi tum se kalaam karta hon

hai muhabbat mujhe parindon se
zain main naik kaam karta hon

Saturday, 26 August 2017

udasiyon ka ujaar mosam kabi sataye to mujh se kehna

udasiyon ka ujaar mosam kabi sataye to mujh se kehna
na in andheron main hath tum se koi milaye to mujh se kehna

mujhay yakeen hai k mujh se barh kr tumhain kisi ne nahi hai chaha
meri tarah se koi tumhain jab galay lagaye to mujh se kehna

yeh ban sanwar kr jo tum ne mathay pe aik jhoomar saja liya hai
magar sajaya tha jesa main ne koi sajaye to mujh se kehna

muhabbaton main azaab lagta hai hijr lekin nahi hai aisa
magar nazar se firaaq teri nazar milaye to mujh se kehna

na har kisi per yakeen karna bagher sochay bagher samjhay
tumhain koi bhi jo mere baray main kuch bataye to mujh se kehna

meri teri yadon ki akhri hadd main naqsh aisay hua hon jaanan
khyaal mera tumhain jo ik pal bhi bhool jaye to mujh se kehna

bohot kaha tha yakeen rakhna k zain tum se juda nahi hai
agar zara sa bhi meri baton main farq aye to mujh se kehna