Sunday, 3 September 2017

Rukhsat Hua To Aankh Mila Kar Nahi Gaya

urdu sad shayari two lines sad urdu shayari on life sad poetry in urdu 2 lines with images urdu sad ghazals sad ghazals heart touching urdu shayari in hindi love sad poetry in urdu about love ghazal shayari sad
Rukhsat Hua To Aankh Mila Kar Nahi Gaya 
Wo Kyun Gaya Yeh Bhi Bata Kar Nahi Gaya 

Wo yun Gaya k bad e saba yaad aa Gai
Ehsas tak bhi hum ko dila kar nahi Gaya

Yun Lag Raha Hai Jaise Abhi Lout Aaye Ga 
Jate Hua Charagh Bujha Kar Nahi Gaya

Bas eik lakeer khanch gaya darmiyan mein
Diwaar raste mein bana kar nahi Gaya

Shayad wo mil hi jaye magar justujo hai shart
Wo apne nakhs e paa to mita kar nahi Gaya 

Ghar Mein Hai Aaj Bhi Wohi Khushbu Basi Hui 
Lagta Hai Yun K Jaise Wo Aa Kar Nahi Gaya

Tab tak to phool jaisi hi taza thi uski yaad
Jab tak wo pattiyon  ko juda kar nahi gaya 

Rehne Diya Na Us Ne Kisi Kaam Ka Mujhe 
Aur Khak Mein Bhi Mujh Ko Mila Kar Nahi Gaya

Shezad ye gila hi raha uski zaat se
Jate howe wo koi gila kar nahi Gaya

No comments:

Post a Comment