Monday, 28 August 2017

ik teri yaad ko bas rakht e safar jaana hai

ik teri yaad ko bas rakht e safar jaana hai
hum ne pathar ko bahar torr gohar jana hai

jis tarah kat'ti gayi raat bhi khamoshi se
is tarah hum ne kisi shaam guzar jana hai

chaand ko hum ne batana hai tere baray main
aaj to hum ne barri derr se ghar jana hai

zain us ko to ujaara tha kayi sadiyon ne
aik lamhay main kahan us ne sanwar jana hai

aor phir mere siva kon sahay ga us ko
aor phr us k siva main ne kidhar jana hai

zain maala sa hamain us ne piroo rakha hai
hum ne chup chaap kisi roz bikhar jana hai

hai muhabbat mujhe parindon se

tere pehlu main shaam karta hon
raat ka ehtamaam karta hon

manta hon main hijr ko murshad
hijr ka ehtaram karta hon

ik tujay yaad phr teri baten
bas yehi aik kaam karta hon

morr k pankh hain kitabon main
husn ka ehtaram karta hon

yaar badlay huye hain so main bhi
door se hi salam karta hon

lafz honton pe aa nahi saktay
jab bhi tum se kalaam karta hon

hai muhabbat mujhe parindon se
zain main naik kaam karta hon

Trumpo Tumhein Hum Pe Bharosa Nahi Tha


Trumpo Tumhein Hum Pe Bharosa Nahi Tha
Hum ne tere liye kia kia nahi kia
kaam nikla to sab howa Gol Gol

Trumpo Bolo Mithe Bol

Trumpo Tumhein Hum Pe Bharosa Nahi Tha
Jihadiyon ko hum ne jora
Ross Ko mil k tora
kaam nikla to sab howa Gol Gol

Trumpo Bolo Mithe Bol

Trumpo Tumhein Hum Pe Bharosa Nahi Tha
9/11 k bad scene Badla
Do More ka nara phir garja
talban ka Chapter howa Gol Gol

Trumpo Bolo Mithe Bol

haar dekh yahan se bhaga
Dhamakon mein hum ko phansa
Niyat mein teri tha jhol jhol

Trumpo Bolo Mithe Bol

Tere bad na mila koi rasta
CPEC ne diya ek aasra
Cheen ne lagaya phir Mol Mol

Trumpo Bolo Mithe Bol

Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha

Tu tu hai wahi dil ne jise apna kaha
Tu hai jahan main hoon wahan
Ab toh yeh jeena tere binn hai saza
Mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Hoo mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Phir hona judaa haan yeh vaada raha

Main awaaz hoon tu, tu hai geet mera
Jahan se niraala man meet mera
Mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Hoo mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Phir hona judaa haan yeh waada raha

Kabhi khwaab mein bhi tu
Mujhse naa roothe
Mere pyaar ki koi
Khushiyaan na roothe
Mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Hoo mil jaaye iss tarah do lehre jiss tarah
Phir hona judaa yeh vaada raha

Na bole tum na main ne kuch kaha

Na bole tum na main ne kuch kaha
magar na jane aisa kyon laga laga
ke dhup me khila hai chand, din me rat ho gayi
ye pyar ki bina kahe sunhari baat ho gayi
naa bole tum naa maine kuchh kaha kaha
magar na jane aisa kyon laga laga
ke dhup me khila hai chand, din me rat ho gayi
ye pyar ki bina kahe sunhari baat ho gayi

badal rahi hai jindagi, badal rahe hai ham
thirak rahe hai jane aaj kyon mere kadam
mere kadam, mere kadam
kisi ko ho na ho magar hame toh hai pata
naa bole tum naa maine kuchh kaha kaha
magar na jane aisa kyon laga laga
ke dhup me khila hai chand, din me rat ho gayi
ye pyar ki bina kahe sunhari baat ho gayi

ghuli si aaj saanso me kisi ki saans hai
saans hai, saans hai
yeh kaun aaj dil ke mere aas-paas hai
yeh dhire dhire ho raha hain pyar kaa nasha
naa bole tum naa maine kuchh kaha kaha
magar na jane aisa kyon laga laga
ke dhup me khila hai chand, din me rat ho gayi
ye pyar ki bina kahe sunhari baat ho gayi

yeh lag raha hain sari uljhane sulajh gayi
sulajh gayi, sulajh gayi
yeh dhadkano ki baat dhadkane samajh gayi
naa boliye ke bolne ko kuchh nahi raha
naa bole tum naa maine kuchh kaha kaha
magar na jane aisa kyon laga laga
ke dhup me khila hai chand, din me rat ho gayi
ye pyar ki bina kahe sunhari baat ho gayi

Satrangi mausam ho

Satrangi mausam ho
Ya gham ke badal ho
Phoolon ki sej ho ya
Kaanton ki raahein ho
Mere hum kadam, mere hum safar
Raah mein chhor na jaana,
Har kasam torr na jaana

Saath nibhana, saathiya

Sooraj ke sang kiran,
Deepak sang baati hai
Sagar ke sang leher,
Aise hum saathi hain
O� mere sanam, ho khushi ya ghum
Na churana hum se nazar,
Sang rehna umr bhar

Saath nibhana, saathiya

ye hai mohabbatein

Dil kahin rukta nahi
Dil kahin rukta nahi,
Chalta hi jaaye teri ore
Dil meri sunta nahi

Ho.. saari fizaaon mein hai,
Mehki hawaon mein hai
Tera aur mera fasana
Ho jaanu main bhi ye,
Jaane hai tu bhi ye
Jaane ye saara zamana

Ho kabhi kam na hongi ye chahate
Pal pal barhe, ye hai mohabbatein