Thursday, 6 February 2014

Shair logon ke bohat yaad hain...


Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye,
Tun milay to main tujhe shair sunaaon apne..!

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota...

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,

Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,

Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,

Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,

Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana,
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota,

Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan,
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..!

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye...

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,

Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,

Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,

Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,

Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..

(khatoon;lady)(sar’sari;easy)(mamnoon;thankfull)

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad...

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad

Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad

Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad

Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad

Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai...

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai,

Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho,
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai,

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh,
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai,

Dil mera veeran hua to hasrat kesi,
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai,

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye,
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai,

Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai,
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai,

Tera chahra har chehre per chaa jata hai,
Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai,

Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal,
Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai.

Na tumhey hosh rahey...


Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaaho mujhey pagal kar do...!

Tuesday, 4 February 2014

Sara Karishma Mohabbat Ka Ha

Sara Karishma Mohabbat Ka Ha Warna,
Pathar Ki Diwaaron Ko Kon Taaj Mahal Kehta Ha.!