Showing posts with label Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Ghazals. Show all posts

Thursday, 31 August 2017

Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon


















Agar'chay mein ik chattaan sa aadmi raha hoon
Magar teray baad hosla hai keh jee raha hoon

Woh raiza raiza meray badan men utar raha hai
Mein qatra qatra uski aankhon ko pii raha hoon

Teri hatheli pay kis nay likha hai qatal mera
Mujhay to lagta hai mein tera dost bhi raha hoon

Khuli hain aankhen magar badan hai tamaam pathar
Koi bataaye mein mar chuka hoon keh jee raha hoon

Kahaan milay gi misaal meri sitam'gari ki
Keh mein gulaabon kay zakhm kaanton say sii raha hoon

Na pooch mujh say keh shehar waalon ka haal kaya tha
Keh mein to khud apnay ghar men do gharri raha hoon

Mila to beetay dino'n ka sach uski aankhon men tha
Woh aashna jis say muddaton ajnabi raha hoon

Bhula day mujh ko keh be'wafaaii bja hai lekin
Ganwa na mujh ko keh mein teri zindagi raha hoon

Woh ajnabi ban kay ab milay bhi to kaya hai Mohsin
Yeh naaz kam hai keh mein bhi kabhi us ka raha hoon

Monday, 8 May 2017














Milay kab thay hum kisi morr per Na usay khabar Na mujhay khabar,
Keh khayal-o-khwaab ka tha saafr Na usay khabar Na mujhay khabar.

Na wo aas men Na gumaan men Na salam tha Na payaam tha,
Kisay kis nay dekha tha chonk kar Na usay khabar Na mujhay khabar.

Dar-e-dil pey naram si dastaken kisay roktay kisay tok'tay, 
Wo mehak thi jaan men gaii utar Na usay khabar Na mujhay khabar.

Kabh us kay seenay men mera dil Bara naatwaan Bara muzmahil,
Meray rukh pey us ki hy chashm'e tar Na usay khabar Na mujhay khabar. 

Dil'e muztarib rahen kab talak kisi bey khabar kay khayaal men,
Kisay dhoondtay rahen umr bhar Na usy khabar Na mujhay khabar.

Kabhi kho gaye sabhi raastay kabhi raaston say palat gaye,
Kahan us ka ghar kahan mera ghar Na usay khabar Na mujhay khabar.

Thay nazar men ajnabi raastay to yeh kaisay aa gaya yak'ba'yak, 
Sar-e-raah chahaton ka nagar Na usay khabar Na mujhay khabar..

Tuesday, 2 May 2017

Ishq hamara paisha thehra aashiquee apni zaat huii
















Aaj hamari aankhon say phir ashkon ki barsaat huii
Ghir aayee phir say taareeki jeeven men phir raat huii

Hum ko to jis jis nay dekha bola pagal deewana
Ishq hamara paisha thehra aashiquee apni zaat huii


Bikhri teray pyar ki khushbu joon'he hum nay mondi aankhen
Hotay hotay neend hamari yaadon ki baraat huii

Hum say bhi rakhtay ho rishta fikr bhi tum ko auron ki
Chaahat men bhi duniya'daari khud socho kaya baat huii

Sapnay jeetay aankhen haareen dil jeeta aur dharkan haaray
Baazi apnay haath men thi par man'marzi say maat huii

Daal diye darya men ghoray aag laga di kashti ko
Haath men jis kay suraj qismat us kay saath huii