The biggest poetry and wishes website of the world millions of poems, greetings, shayari and worldwide holiday cards and pictures.
Showing posts with label 4 LINE URDU Poetry. Show all posts
Showing posts with label 4 LINE URDU Poetry. Show all posts
Sunday, 27 August 2017
Thursday, 6 February 2014
Husnn daulat ka saath deta hai...
Kaun sood-o-ziyaa’n ki duniya mein,
Dard-e-ghurbat ka sath deta hai,
Jab muqaabil hon ishq aur daulat,
Husnn daulat ka saath deta hai..
(sood-o-ziyaan;profit)
Friday, 31 January 2014
Qissa Abhi hijab se agey nahi barha..
Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,
Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..
Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
Hum bhi hon ge...
Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar,
Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah,
Kabhi jo na baant pao ge dard to yaad aonga,
Hum tum jo they aik jism ke hissay ki tarah.!
Khushi k geet gaaney ko
Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai,
Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai,
Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho,
Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..!
Zindagi khaak na thi
Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri,
Tujhse kya kehtey tere pass jo Aatey guzri,
Din jo guzraa to kisi ki yaad mein guzra,
Shaam ayi to koi khawb dikhatey guzri.!
Subscribe to:
Posts (Atom)