Monday 25 April 2016

Kisi bhi Mor k Agle ParaaO Per



Kisi bhi Mor k Agle ParaaO Per,
Juda hi humko hOna hai,
Tu AaO Phir,
Yahin Apne AsaasOn ko Alag Kar len,
Yeh Jitne Zakham Dil Per hain,
Idhar Meri Taraf Kar do,
K Tum Aksar Yeh Kehte Thay,
Yeh Sab Meri Badolat hain,
Magar ThehrO !!
Zara ThehrO !!
Yahan Kuch Khuwaab bhi hOnge,
Jo mil Kar humne Dekhe Thay,
Inhen TaQseem Karna hain,
So Yun Kar lo,
Suhaane Khuwaab Tum Rakh lo,
Adhore Sab Mujhe De do,
K Meri Yun bhi Aadat hai,
Mujhe Tooti hui CheezOn Se Ik Be_naam Raghbat hai,
So Aadhe Khuwaab Tum Rakh lo,
Yeh Aadhe Khuwaab Mere Hain,
Chalo Taqseem ka Qissa Yahin Ab Khatam Karte hain,
Magar ThehrO,
Yahin ThehrO,
Yahan Tum Se Mujhe Ik Baat Kehni hai,
Mujhe Ik Ehad Lena hai,
Kisi Bhi Morr Ya Agle ParaaO Per,
Na Murr k Dekhna Mujhko,
K Murr Kar Dekhne Se Ehad KamzoOr Perte hain, Iraade Toot Jaate hain,
Sabar Ka Jaam HathOn Se, PalOn main Chhot Jata hai,
Bohat Nuqsaan Hota hai,
Tum Yeh Nuqsaan Mat Karna,
Khayaali Is Kahani main Haqeeqi Rang mat Bharna.....!!

No comments:

Post a Comment