Friday, 1 January 2016

Shayari Pyar jab jism ki cheekho mein dafan ho jaye

Pyar jab jism ki cheekho mein dafan ho jaye
odni is taraf uljhe ki kafan ho jaye
ghar ke aisas jab bazar ki sharto mein dhale
ajnabi log jab hamrah ban ke sath chale
labon se asman tak sabki dua chubh jaye
bheed ka sor jab kano ke pass ruk jaye
sitam ki mari hui waqt ki in ankhin mein
nami ho lakh magar fir bhi muskurayeinge
andhere waqt mein bhi geet gayenge

Log kehte rahein is raat ki subah hi nahi
keh de suraj ki rosni ka tajurba hi nahi
wo ladaye ko bhale aar par le jayen
loha le jaye wo lohe ki dhar le jaye
jiski chaukhat se taraju tak ho unpar girwi
us adalt mein hamein bar bar le jaye
hum agar gunguna bhi denge to wo sab ke sab
humko kagaz se hara kar bhi har jayenge
andhere waqt mein bhi geet gayen jayenge

No comments:

Post a Comment