Friday, 1 January 2016

Shayari Hathon ki lakiroon pe mat jaa ae Ghalib

Hathon ki lakiroon pe mat jaa ae Ghalib,
Naseeb unke bhi hote hain jinke haath nahi hote..

Mat poonch ki kya haal hai mera tere peeche,
Tu dekh ke kya rang hai tera mere aage …

Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib,
Ke lagaye na lage aur bujhaaye na bujhe..

Humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
dil ke khush rakhne ko, Ghalib yeh khayaal achcha hai..

5. Ishq ne ‘Ghalib’, nikamma kar diya
Warna hum bhi aadmi the, kaam ke.

No comments:

Post a Comment