Thursday, 31 December 2015

Wada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako

Wada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako,
Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako,
Dost To Duniya Mein Bahut Hote Hai,
Par Ek Khas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako

Aye Khuda Kya Cheez Mohabbat Tune Banayi Hai

Aye Khuda Kya Cheez Mohabbat Tune Banayi Hai
Kisi Ko Ye Mil Jaati Hai Aur Koi Sahta Umar Bhar Ki Tanhai
Saath Chalne Ke Khwab Dekhte Hai Jo Log Mohabbat Mein
Koi Paa Leta Hai Apni Manzil Ko Aur Koi Sahta Umar Bhar Ki Judaai Hai

Aane Ka Wada To Kar Lete Ho,Par Nibhana Bhool Jate Ho

Aane Ka Wada To Kar Lete Ho,Par Nibhana Bhool Jate Ho
Lagaaa Kar Aag Dil Mein Aap,Bujhana Bhool Jate Ho..

2. Nazar andaz karte hain vo,
Matlab hum nazar mein to hain.

Aap ko is dil mein utar lene ko jee chahata hai

Aap ko is dil mein utar lene ko jee chahata hai,
Khubsurat se phulo mein dub jane ko jee chahata hai,
Aapka sath pakar hum bhul gaye sab maikhane,
kyunki un maikhano mein bhi aapka hi chehara nazar aata hai….

Chah Kar Bhi kabhi Na Tumko Bhula Payenge Hum

Chah Kar Bhi kabhi Na Tumko Bhula Payenge Hum..
Karte Hain Wada Yeh Nibha Payenge Hum
Khud Ko Fana Kar Denge Is Jahan Se Hum
Par Naam Tera Na Dil Se Mita Payenge Hum…

Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do Apni Mahak Saason Se Mehek Jaane Do

Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do
Apni Mahak Saason Se Mehek Jaane Do,
Dil Machalta Hai Aur Saans Rukti Hai
Ab Toh Seene Mein Aaj Mujhe Utar Aane Do!

Apni taqdeer mein toh kuch aise hi silsle Likhe hain

Apni taqdeer mein toh kuch aise hi silsle Likhe hain..!
Kisi Ne waqt Guzarne ke liye Apna bana liya
To kisi Ne Apna bana kar waqt guzar liya..!