Thursday, 31 December 2015

Apni taqdeer mein toh kuch aise hi silsle Likhe hain

Apni taqdeer mein toh kuch aise hi silsle Likhe hain..!
Kisi Ne waqt Guzarne ke liye Apna bana liya
To kisi Ne Apna bana kar waqt guzar liya..!

Mujhse Kisi Ne Pucha Ki Mohabbat Ka Mtlab Kya Hota Hai?

Mujhse Kisi Ne Pucha Ki Mohabbat Ka Mtlab Kya Hota Hai,..?
To MaiNe Has Kar Jawab Diya Ki,
Mohabbat Ka Matlab Nai Hota,
Matlab Ki Mohabbat Hoti Hai..!!

Mere alfazon ko jhuth na samajhna, Yaad aati hai bahut milne ki dua karna

Mere alfazon ko jhuth na samajhna,
Yaad aati hai bahut milne ki dua karna,
Jee rahi hoon tumhara naam lekar,
Mar jaun to bewafa na samajhna

Bahar Se Nafrat Thi, Par Dil Me Wo Mere Basta Tha

Bahar Se Nafrat Thi, Par Dil Me Wo Mere Basta Tha !
Wo Pagal Sa Ek Ladka, Jo Dekh Ke Mujhko Hansta Tha !!
Kyun Thukraya ?
Mang Ko Uski, Soch Ke Ab Pachhtati Hu !
Dil Ke Badle Dil Manga Tha, Sauda Kitna Sasta Tha !!
Kisse Puchhu ?
Kaise Puchhu ?
Kyun Nahi Deta Ab Dikhayi !
Roz Guzarta Tha Wo Idhar Se, Uska Yahi Rasta Tha !!
Dard Chhupa Kar Jeena Uski, Bahut Purani Adat Thi !
Bheetar-Bheetar Rota Tha Wo, Bahar-Bahar Hansta Tha

Dhup Tez hai paas Saya bhi nahi, Dard Aisa hai ki Rona Aaya bhi nahi

Dhup Tez hai paas Saya bhi nahi,
Dard Aisa hai ki Rona Aaya bhi nahi,
Tere siwa kisiko maine Apna Mana hi nahi,
Kyunki kisiko Aap Jaisa Rab Ne Banaya hi nahi,

Us Ke Sath Rehte Rehte Hamein Chahat Si Ho Gayi

Us Ke Sath Rehte Rehte Hamein Chahat Si Ho Gayi,
Usse Baat Karte Karte Hamein Aadat Si Ho Gayi,
Ek Pal Bhi Na Mile To Najane Bechaini Si Rehti Hai,
Dosti Nibhate Nibhate Hamein Mohabbat Si Ho Gayi

Mujhse Apna Pyar Kabhi Wapas Mat Lena Mujhse Yeh Iqrar Kabhi Wapas Mat Lena

Mujhse Apna Pyar Kabhi Wapas Mat Lena
Mujhse Yeh Iqrar Kabhi Wapas Mat Lena
Kehte Rehna Har Pal Main Tumhari Hun
Mujhse Yeh Izhar Kabhi Wapas Mat Lena !!