Thursday, 31 December 2015

Mujhse Apna Pyar Kabhi Wapas Mat Lena Mujhse Yeh Iqrar Kabhi Wapas Mat Lena

Mujhse Apna Pyar Kabhi Wapas Mat Lena
Mujhse Yeh Iqrar Kabhi Wapas Mat Lena
Kehte Rehna Har Pal Main Tumhari Hun
Mujhse Yeh Izhar Kabhi Wapas Mat Lena !!

Palbhar mein toot jaye wo kasam nahi, Dost ko bhul jaye wo hum nahi

Palbhar mein toot jaye wo kasam nahi,
Dost ko bhul jaye wo hum nahi,
Tum hume bhool jao is baat mein dum nahi,
Kyon ki tum hame bhul jao itne bure hum nahi..!!

Pyaar tujhse kar baithe hai, yeh gunha to aab kar baithe hai

Pyaar tujhse kar baithe hai, yeh gunha to aab kar baithe hai
gusthakhi ho maaf sanam, tujhe dil hum de baithe hai

Mohabbat mein yeh tanhai, mohabbat mein aam hai
gudgudata mitha yeh ehsas, mujhe karta badnam hai

Tu aashiq hai mera, main teri deewangi
Mohabbat mein sanam, main teri ho chali..

Gham Mein Hasne Walon Ko Rulaya Nahi Jata

Gham Mein Hasne Walon Ko Rulaya Nahi Jata,
Lehron Se Pani Ko Hataya Nahi Jata,
Hone Wale Ho Jate Hain Khud hi apne,
Kisi Ko Keh Kar Apna Banaya Nahi Jata

Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hua Karte The

Bachpan Ke Dukh Kitne Achhe Hua Karte The,
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The,

Wo Khushiyan Bhi Na Jane Kaisi Khushiya Thi,
Titli Ke Par Noch Kar Uchhla Karte The,

Chhote The To Makro Fareb Bhi Jhuthe The
Daane Daal Kar Chidiya Pakda Karte The,

Ab To Ek Aansu Bhi Kar Jaaye Ruswa,
Bachpan Mein Jee Bhar Kar Roya Karte The…

Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa, Izhaar e Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai

Ishq Wahi Hai Jo Ho Ektarfa,
Izhaar e Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai,
Hai Agar Ishq To Aankho Mein Dekho ,
Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai

Gam Ki Galiyon Mein Hame Tera Shahar Na Mila

Gam Ki Galiyon Mein Hame Tera Shahar Na Mila
Aur Apni Khushi Ka Hame Wo Ghar Na Mila

Chand BujhTa Raha Har Aahat Ke Baad
Suraj Ki Roshni Mein Bhi Dilbar Na Mila

Meri Khamoshi Mein Chhipi Hai Jo Bejuban Bankar
Unse Kuchh Kehne Ka Kabhi Avsar Na Mila

Dil Ki Baatein Dil Mein Hi Reh Jati Hain
Koi Bhi Humse Aaj Tak Khulkar Na Mila