Thursday, 6 February 2014

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai...

Dekh lete ho mohabbat se yehi kaafi hai,
Dil dharakta hai sahulat se, yehi kaafi hai,

Haal dunya ke sataye huye kuch logon ka,
Puch lete ho shararat se, yehi kaafi hai,

Jo bhi raste mein guzarta hai mere pehlu se,
Dekhta hai teri nisbat se, yehi kaafi hai,

Muddat’ton se nahin dekha tera jalwa lekin,
Yaad ajate ho shidat se, yehi kaafi hai,

Saari dunya se ulajhte hain lekin tera kahaa,
Maan jate hain sharafat se, yehi kaafi hai,

Kya hua hum jo muyassar jo zar-o-maal nahin,
Katt rahi hai bari izat se, yehi kaafi hai,

Aaj ke ehd taghaful mein kisi dar pe Munir,
Koi ajaye zarurat se, yehi kaafi hai..!

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum...

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum,
Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum,

Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye,
Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum,

Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa,
Tareek raston par kahin kho na jayen hum,

Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,
Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum.!

Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat....


Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat,
Yeh kya ke teri aankh bhi pur’num hai meri jaan.!

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye...

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,

Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,

Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,

Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..!

Gulistanon pe hi naheen moqoof..


Gulistanon pe hi naheen moqoof,
Junglon me bhi phool khilte hain.!

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise...

Ajnabi khauf fizaon main basa ho jaise
Shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise

Rat ke pichle pahar ati hain avazain si
Door shahara main koi chiKh raha ho jaise

Dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
Aaj har ghar se janaza sa utha ho jaise

Muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
Dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise

Ab agar dub gaya bhi to marunga na Kamal
Beh-tey pani pe mera nam likha ho jaise.!

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera...

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,

Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,

Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
Jis tarah police karti hai chalaan wagera,

Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera,

Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera..

(dandaan;artificial teeth)(garebaan;collars)