Bujhe bujhe se ajeeb din hain
  Khawab hai na khayal koi
Na manzaron mai koi kashish hai
  Na mosmon mai jamaal koi
Hum ik dojay ko apni apni
  Adhori ankhon se dekhte hain
Hamari barson ki chahaton mai
  Shayad ab utar raha hai jamaal koi
Jo hansna chahen to ashk niklen
  Jo rona chahen to hanste jayen
Hamare jazbaat girvi rakh kar
  Bana raha hai misaal koi

No comments:
Post a Comment